Ghazal
शेख़ ने नाक़ूस के सुर में जो ख़ुद ही तान ली
This ghazal blends subtle satire with playful modern romance, offering a humorous take on religious and social orthodoxy alongside charming moments of mutual attraction. Its overall tone is witty, lighthearted, and warmly observant of human nature.
Source: rekhta · HI
Listen
1
शेख़ ने नाक़ूस के सुर में जो ख़ुद ही तान ली
फिर तो यारों ने भजन गाने की खुल कर ठान ली
sheḳh ne nāqūs ke sur meñ jo ḳhud hī taan lī
phir to yāroñ ne bhajan gaane kī khul kar Thaan lī
2
मुद्दतों क़ाइम रहेंगी अब दिलों में गर्मियाँ
मैं ने फोटो ले लिया उस ने नज़र पहचान ली
muddatoñ qaa.im raheñgī ab diloñ meñ garmiyāñ
maiñ ne photo le liyā us ne nazar pahchān lī
3
रो रहे हैं दोस्त मेरी लाश पर बे-इख़्तियार
ये नहीं दरयाफ़्त करते किस ने इस की जान ली
ro rahe haiñ dost merī laash par be-iḳhtiyār
ye nahīñ daryāft karte kis ne is kī jaan lī
4
मैं तो इंजन की गले-बाज़ी का क़ाइल हो गया
रह गए नग़्मे हुदी-ख़्वानों के ऐसी तान ली
maiñ to engine kī gale-bāzī kā qaa.il ho gayā
rah ga.e naġhme hudī-ḳhvānoñ ke aisī taan lī
5
हज़रत-ए-'अकबर' के इस्तिक़्लाल का हूँ मो'तरिफ़
ता-ब-मर्ग उस पर रहे क़ाइम जो दिल में ठान ली
hazrat-e-'akbar' ke istiqlāl kā huuñ mo'tarif
ta-ba-marg us par rahe qaa.im jo dil meñ Thaan lī
Comments · 0
Free — just your email. You'll come right back here.
No comments yet. Be the first.
