Ghazal

न दरवेशों का ख़िर्क़ा चाहिए न ताज-ए-शाहाना

Bahadur Shah Zafar· Ghazal· 7 shers

This ghazal renounces both worldly royalty and superficial asceticism in favor of pure, heartfelt devotion to the Divine. The poet seeks only enough consciousness to remain perpetually enchanted by the Beloved, prioritizing an indelible spiritual truth inscribed on the heart over mere bookish knowledge.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
न दरवेशों का ख़िर्क़ा चाहिए न ताज-ए-शाहाना मुझे तो होश दे इतना रहूँ मैं तुझ पे दीवाना
na durveshoñ kā ḳhirqa chāhiye na tāj-e-shāhānā mujhe to hosh de itnā rahūñ maiñ tujh pe dīvānā
2
किताबों में धरा है क्या बहुत लिख लिख के धो डालीं हमारे दिल पे नक़्श-ए-कल-हज्र है तेरा फ़रमाना
kitāboñ meñ dharā hai kyā bahut likh likh ke dho Dālīñ hamāre dil pe naqsh-e-kal-hajr hai terā farmānā
3
ग़नीमत जान जो दम गुज़रे कैफ़ियत से गुलशन में दिए जा साक़ी-ए-पैमाँ-शिकन भर भर के पैमाना
ġhanīmat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan meñ diye jā sāqī-e-paimāñ-shikan bhar bhar ke paimānā
4
न देखा वो कहीं जल्वा जो देखा ख़ाना-ए-दिल में बहुत मस्जिद में सर मारा बहुत सा ढूँडा बुत-ख़ाना
na dekhā vo kahīñ jalva jo dekhā ḳhāna-e-dil meñ bahut masjid meñ sar maarā bahut sā DhūñDā but-ḳhānā
5
कुछ ऐसा हो कि जिस से मंज़िल-ए-मक़्सूद को पहुँचूँ तरीक़-ए-पारसाई होवे या हो राह-ए-रिंदाना
kuchh aisā ho ki jis se manzil-e-maqsūd ko pahuñchūñ tarīq-e-pārsā.ī hove yā ho rāh-e-rindānā
6
ये सारी आमद-ओ-शुद है नफ़स की आमद-ओ-शुद पर इसी तक आना जाना है न फिर जाना न फिर आना
ye saarī āmad-o-shud hai nafas kī āmad-o-shud par isī tak aanā jaanā hai na phir jaanā na phir aanā
7
'ज़फ़र' वो ज़ाहिद-ए-बेदर्द की हू-हक़ से बेहतर है करे गर रिंद दर्द-ए-दिल से हाव-हु-ए-मस्ताना
'zafar' vo zāhid-e-bedard kī hū-haq se behtar hai kare gar rind dard-e-dil se hāv-hū-e-mastānā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.