Ghazal

न उस का भेद यारी से न अय्यारी से हाथ आया

Bahadur Shah Zafar· Ghazal· 9 shers· radif: से हाथ आया

This ghazal reflects on the idea that divine mysteries and the true essence of the beloved cannot be grasped through deceit or mere worldly affection, but through profound vigilance of the heart. It underscores that reaching one's ultimate spiritual destination requires genuine mindfulness, wisdom, and inner awareness.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
न उस का भेद यारी से न अय्यारी से हाथ आया ख़ुदा आगाह है दिल की ख़बरदारी से हाथ आया
na us kā bhed yaarī se na ayyārī se haath aayā ḳhudā āgāh hai dil kī ḳhabardārī se haath aayā
2
न हों जिन के ठिकाने होश वो मंज़िल को क्या पहुँचे कि रस्ता हाथ आया जिस की हुश्यारी से हाथ आया
na hoñ jin ke Thikāne hosh vo manzil ko kyā pahuñche ki rasta haath aayā jis kī hushyārī se haath aayā
3
हुआ हक़ में हमारे क्यूँ सितमगर आसमाँ इतना कोई पूछे कि ज़ालिम क्या सितमगारी से हाथ आया
huā haq meñ hamāre kyuuñ sitamgar āsmāñ itnā koī pūchhe ki zālim kyā sitamgārī se haath aayā
4
अगरचे माल-ए-दुनिया हाथ भी आया हरीसों के तो देखा हम ने किस किस ज़िल्लत-ओ-ख़्वारी से हाथ आया
agarche māl-e-duniyā haath bhī aayā harīsoñ ke to dekhā ham ne kis kis zillat-o-ḳhvārī se haath aayā
5
न कर ज़ालिम दिल-आज़ारी जो ये दिल मंज़ूर है लेना किसी का दिल जो हाथ आया तो दिलदारी से हाथ आया
na kar zālim dil-āzārī jo ye dil manzūr hai lenā kisī kā dil jo haath aayā to dildārī se haath aayā
6
अगरचे ख़ाकसारी कीमिया का सहल नुस्ख़ा है व-लेकिन हाथ आया जिस के दुश्वारी से हाथ आया
agarche ḳhāksārī kīmiyā kā sahl nusḳha hai va-lekin haath aayā jis ke dushvārī se haath aayā
7
हुई हरगिज़ न तेरे चश्म के बीमार को सेह्हत न जब तक ज़हर तेरे ख़त्त-ए-ज़ंगारी से हाथ आया
huī hargiz na tere chashm ke bīmār ko sehhat na jab tak zahr tere ḳhatt-e-zañgārī se haath aayā
8
कोई ये वहशी-ए-रम-दीदा तेरे हाथ आया था पर ऐ सय्याद-वश दिल की गिरफ़्तारी से हाथ आया
koī ye vahshi-e-ram-dīda tere haath aayā thā par ai sayyād-vash dil kī giraftārī se haath aayā
9
'ज़फ़र' जो दो जहाँ में गौहर-ए-मक़्सूद था अपना जनाब-ए-फ़ख़्र-ए-दीं की वो मदद-गारी से हाथ आया
'zafar' jo do jahāñ meñ gauhar-e-maqsūd thā apnā janāb-e-faḳhr-e-dīñ kī vo madad-gārī se haath aayā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.