Ghazal

निबाह बात का उस हीला-गर से कुछ न हुआ

Bahadur Shah Zafar· Ghazal· 9 shers· radif: से कुछ न हुआ

This ghazal poignantly portrays the grief of unrequited love and the heartbreak of seeking devotion from an elusive, excuse-making beloved. Despite the lover's earnest efforts and sincere sacrifices, the beloved's indifference and the cruelty of fate render everything in vain.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
निबाह बात का उस हीला-गर से कुछ न हुआ इधर से क्या न हुआ पर उधर से कुछ न हुआ
nibāh baat kā us hīla-gar se kuchh na huā idhar se kyā na huā par udhar se kuchh na huā
2
जवाब-ए-साफ़ तो लाता अगर न लाता ख़त लिखा नसीब का जो नामा-बर से कुछ न हुआ
javāb-e-sāf to laatā agar na laatā ḳhat likhā nasīb kā jo nāma-bar se kuchh na huā
3
हमेशा फ़ित्ने ही बरपा किए मिरे सर पर हुआ ये और तो उस फ़ित्ना-गर से कुछ न हुआ
hamesha fitne hī barpā kiye mire sar par huā ye aur to us fitna-gar se kuchh na huā
4
बला से गिर्या-ए-शब तू ही कुछ असर करता अगरचे इश्क़ में आह-ए-सहर से कुछ न हुआ
balā se girya-e-shab tū hī kuchh asar kartā agarche ishq meñ āh-e-sahar se kuchh na huā
5
जला जला के किया शम्अ साँ तमाम मुझे बस और तो मुझे सोज़-ए-जिगर से कुछ न हुआ
jalā jalā ke kiyā sham.a saañ tamām mujhe bas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na huā
6
रहीं अदू से वही गर्म-जोशियाँ उस की इस आह-ए-सर्द और इस चश्म-ए-तर से कुछ न हुआ
rahīñ adū se vahī garm-joshiyāñ us kī is āh-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na huā
7
उठाया इश्क़ में क्या क्या न दर्द-ए-सर मैं ने हुसूल पर मुझे उस दर्द-ए-सर से कुछ न हुआ
uThāyā ishq meñ kyā kyā na dard-e-sar maiñ ne husūl par mujhe us dard-e-sar se kuchh na huā
8
शब-ए-विसाल में भी मेरी जान को आराम अज़ीज़ो दर्द-ए-जुदाई के डर से कुछ न हुआ
shab-e-visāl meñ bhī merī jaan ko ārām azīzo dard-e-judā.ī ke Dar se kuchh na huā
9
न दूँगा दिल उसे मैं ये हमेशा कहता था वो आज ले ही गया और 'ज़फ़र' से कुछ न हुआ
na dūñgā dil use maiñ ye hamesha kahtā thā vo aaj le hī gayā aur 'zafar' se kuchh na huā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.