Ghazal

तुफ़्ता-जानों का इलाज ऐ अहल-ए-दानिश और है

Bahadur Shah Zafar· Ghazal· 9 shers· radif: और है

This ghazal reflects on the consuming torment of passionate love, asserting that the burning agony of true lovers cannot be healed by conventional wisdom or rational counsel. It depicts the suffering and madness of devotion as an otherworldly experience far beyond the comprehension of the intellect.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
तुफ़्ता-जानों का इलाज ऐ अहल-ए-दानिश और है इश्क़ की आतिश बला है उस की सोज़िश और है
tufta-jānoñ kā ilaaj ai ahl-e-dānish aur hai ishq kī ātish balā hai us kī sozish aur hai
2
क्यूँ न वहशत में चुभे हर मू ब-शक्ल-ए-नीश-तेज़ ख़ार-ए-ग़म की तेरे दीवाने की काविश और है
kyuuñ na vahshat meñ chubhe har mū ba-shakl-e-nīsh-tez ḳhār-e-ġham kī tere dīvāne kī kāvish aur hai
3
मुतरिबो बा-साज़ आओ तुम हमारी बज़्म में साज़-ओ-सामाँ से तुम्हारी इतनी साज़िश और है
mutribo bā-sāz aao tum hamārī bazm meñ sāz-o-sāmāñ se tumhārī itnī sāzish aur hai
4
थूकता भी दुख़्तर-ए-रज़ पर नहीं मस्त-ए-अलस्त जो कि है उस फ़ाहिशा पर ग़श वो फ़ाहिश और है
thūktā bhī duḳhtar-e-raz par nahīñ mast-e-alast jo ki hai us fāhisha par ġhash vo fāhish aur hai
5
ताब क्या हम-ताब होवे उस से ख़ुर्शीद-ए-फ़लक आफ़्ताब-ए-दाग़-ए-दिल की अपने ताबिश और है
taab kyā ham-tāb hove us se ḳhurshīd-e-falak āftāb-e-dāġh-e-dil kī apne tābish aur hai
6
सब मिटा दें दिल से हैं जितनी कि उस में ख़्वाहिशें गर हमें मालूम हो कुछ उस की ख़्वाहिश और है
sab miTā deñ dil se haiñ jitnī ki us meñ ḳhvāhisheñ gar hameñ mālūm ho kuchh us kī ḳhvāhish aur hai
7
अब्र मत हम-चश्म होना चश्म-ए-दरिया-बार से तेरी बारिश और है और उस की बारिश और है
abr mat ham-chashm honā chashm-e-dariyā-bār se terī bārish aur hai aur us kī bārish aur hai
8
है तो गर्दिश चर्ख़ की भी फ़ित्ना-अंगेज़ी में ताक़ तेरी चश्म-ए-फ़ित्ना-ज़ा की लेक गर्दिश और है
hai to gardish charḳh kī bhī fitna-añgezī meñ taaq terī chashm-e-fitna-zā kī lek gardish aur hai
9
बुत-परस्ती जिस से होवे हक़-परस्ती ऐ 'ज़फ़र' क्या कहूँ तुझ से कि वो तर्ज़-ए-परस्तिश और है
but-parastī jis se hove haq-parastī ai 'zafar' kyā kahūñ tujh se ki vo tarz-e-parastish aur hai
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.