Ghazal

या मुझे अफ़सर-ए-शाहाना बनाया होता

Bahadur Shah Zafar· Ghazal· 9 shers· radif: बनाया होता

In this ghazal, the poet laments the torment of rational intellect and worldly moderation, wishing instead for an absolute state—either sovereign majesty, the freedom of utter renunciation, or the consumed madness of divine love. The emotional tone is deeply contemplative, combining existential yearning with poignant resignation.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
या मुझे अफ़सर-ए-शाहाना बनाया होता या मिरा ताज गदायाना बनाया होता
yā mujhe afsar-e-shāhāna banāyā hotā yā mirā taaj gadāyāna banāyā hotā
2
अपना दीवाना बनाया मुझे होता तू ने क्यूँ ख़िरद-मंद बनाया न बनाया होता
apnā dīvāna banāyā mujhe hotā tū ne kyuuñ ḳhirad-mand banāyā na banāyā hotā
3
ख़ाकसारी के लिए गरचे बनाया था मुझे काश ख़ाक-ए-दर-ए-जानाना बनाया होता
ḳhāksārī ke liye garche banāyā thā mujhe kaash ḳhāk-e-dar-e-jānāna banāyā hotā
4
नश्शा-ए-इश्क़ का गर ज़र्फ़ दिया था मुझ को उम्र का तंग न पैमाना बनाया होता
nashsha-e-ishq kā gar zarf diyā thā mujh ko umr kā tañg na paimāna banāyā hotā
5
दिल-ए-सद-चाक बनाया तो बला से लेकिन ज़ुल्फ़-ए-मुश्कीं का तिरे शाना बनाया होता
dil-e-sad-chāk banāyā to balā se lekin zulf-e-mushkīñ kā tire shāna banāyā hotā
6
सूफ़ियों के जो न था लायक़-ए-सोहबत तो मुझे क़ाबिल-ए-जलसा-ए-रिंदाना बनाया होता
sūfiyoñ ke jo na thā lā.eq-e-sohbat to mujhe qābil-e-jalsa-e-rindāna banāyā hotā
7
था जलाना ही अगर दूरी-ए-साक़ी से मुझे तो चराग़-ए-दर-ए-मय-ख़ाना बनाया होता
thā jalānā hī agar dūri-e-sāqī se mujhe to charāġh-e-dar-e-mai-ḳhāna banāyā hotā
8
शोला-ए-हुस्न चमन में न दिखाया उस ने वर्ना बुलबुल को भी परवाना बनाया होता
shola-e-husn chaman meñ na dikhāyā us ne varna bulbul ko bhī parvāna banāyā hotā
9
रोज़ मामूरा-ए-दुनिया में ख़राबी है 'ज़फ़र' ऐसी बस्ती को तो वीराना बनाया होता
roz māmūra-e-duniyā meñ ḳharābī hai 'zafar' aisī bastī ko to vīrāna banāyā hotā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.