Ghazal

ये मिस्रा काश नक़्श-ए-हर-दर-ओ-दीवार हो जाए

Jigar Moradabadi· Ghazal· 10 shers· radif: हो जाए

This ghazal advocates a bold and fearless philosophy of life, declaring that true living demands the readiness for ultimate sacrifice. Blending passion with spiritual ecstasy, it celebrates a defiant spirit that finds profound fulfillment beyond conventional boundaries.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
ये मिस्रा काश नक़्श-ए-हर-दर-ओ-दीवार हो जाए जिसे जीना हो मरने के लिए तय्यार हो जाए
ye misra.a kaash naqsh-e-har-dar-o-dīvār ho jaa.e jise jiinā ho marne ke liye tayyār ho jaa.e
2
वही मय-ख़्वार है जो इस तरह मय-ख़्वार हो जाए कि शीशा तोड़ दे और बे-पिए सरशार हो जाए
vahī mai-ḳhvār hai jo is tarah mai-ḳhvār ho jaa.e ki shīsha toḌ de aur be-piye sarshār ho jaa.e
3
दिल-ए-इंसाँ अगर शाइस्ता-ए-असरार हो जाए लब-ए-ख़ामोश-फ़ितरत ही लब-ए-गुफ़्तार हो जाए
dil-e-insāñ agar shā.ista-e-asrār ho jaa.e lab-e-ḳhāmosh-fitrat hī lab-e-guftār ho jaa.e
4
हर इक बे-कार सी हस्ती ब-रू-ए-कार हो जाए जुनूँ की रूह-ए-ख़्वाबीदा अगर बेदार हो जाए
har ik be-kār sī hastī ba-rū-e-kār ho jaa.e junūñ kī rūh-e-ḳhvābīda agar bedār ho jaa.e
5
सुना है हश्र में हर आँख उसे बे-पर्दा देखेगी मुझे डर है न तौहीन-ए-जमाल-ए-यार हो जाए
sunā hai hashr meñ har aañkh use be-parda dekhegī mujhe Dar hai na tauhīn-e-jamāl-e-yār ho jaa.e
6
हरीम-ए-नाज़ में उस की रसाई हो तो क्यूँकर हो कि जो आसूदा ज़ेर-ए-साया-ए-दीवार हो जाए
harīm-e-nāz meñ us kī rasā.ī ho to kyūñkar ho ki jo āsūda zer-e-sāya-e-dīvār ho jaa.e
7
मआ'ज़-अल्लाह उस की वारदात-ए-ग़म मआ'ज़-अल्लाह चमन जिस का वतन हो और चमन-बे-ज़ार हो जाए
ma.āz-allāh us kī vārdāt-e-ġham ma.āz-allāh chaman jis kā vatan ho aur chaman-be-zār ho jaa.e
8
यही है ज़िंदगी तो ज़िंदगी से ख़ुद-कुशी अच्छी कि इंसाँ आलम-ए-इंसानियत पर बार हो जाए
yahī hai zindagī to zindagī se ḳhud-kushī achchhī ki insāñ ālam-e-insāniyat par baar ho jaa.e
9
इक ऐसी शान पैदा कर कि बातिल थरथरा उट्ठे नज़र तलवार बन जाए नफ़स झंकार हो जाए
ik aisī shaan paidā kar ki bātil thartharā uTThe nazar talvār ban jaa.e nafas jhankār ho jaa.e
10
ये रोज़ ओ शब ये सुब्ह ओ शाम ये बस्ती ये वीराना सभी बेदार हैं इंसाँ अगर बेदार हो जाए
ye roz o shab ye sub.h o shaam ye bastī ye vīrāna sabhī bedār haiñ insāñ agar bedār ho jaa.e
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.