Ghazal

पान खा कर सुर्मा की तहरीर फिर खींची तो क्या

Bahadur Shah Zafar· Ghazal· 9 shers· radif: फिर खींची तो क्या

This ghazal reflects on the utter futility of adornment, effort, and regret once the destruction has already occurred. Through evocative imagery of the beloved's cruel charm and the bounds of destiny, it captures an emotional landscape of poignant grief and irony.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
पान खा कर सुर्मा की तहरीर फिर खींची तो क्या जब मिरा ख़ूँ हो चुका शमशीर फिर खींची तो क्या
paan khā kar surma kī tahrīr phir khīñchī to kyā jab mirā ḳhuuñ ho chukā shamshīr phir khīñchī to kyā
2
ऐ मुहव्विस जब कि ज़र तेरे नसीबों में नहीं तू ने मेहनत भी पय-ए-इक्सीर फिर खींची तो क्या
ai muhavvis jab ki zar tere nasīboñ meñ nahīñ tū ne mehnat bhī pai-e-iksīr phir khīñchī to kyā
3
गर खिंचे सीने से नावक रूह तू क़ालिब से खींच ऐ अजल जब खिंच गया वो तीर फिर खींची तो क्या
gar khiñche siine se nāvak ruuh tū qālib se khīñch ai ajal jab khiñch gayā vo tiir phir khīñchī to kyā
4
खींचता था पाँव मेरा पहले ही ज़ंजीर से ऐ जुनूँ तू ने मिरी ज़ंजीर फिर खींची तो क्या
khīñchtā thā paañv merā pahle hī zanjīr se ai junūñ tū ne mirī zanjīr phir khīñchī to kyā
5
दार ही पर उस ने खींचा जब सर-ए-बाज़ार-इश्क़ लाश भी मेरी पय-ए-तशहीर फिर खींची तो क्या
daar hī par us ne khīñchā jab sar-e-bāzār-e-ishq laash bhī merī pai-e-tashhīr phir khīñchī to kyā
6
खींच अब नाला कोई ऐसा कि हो उस को असर तू ने ऐ दिल आह-ए-पुर-तासीर फिर खींची तो क्या
khīñch ab naala koī aisā ki ho us ko asar tū ne ai dil āh-e-pur-tāsīr phir khīñchī to kyā
7
चाहिए उस का तसव्वुर ही से नक़्शा खींचना देख कर तस्वीर को तस्वीर फिर खींची तो क्या
chāhiye us kā tasavvur hī se naqsha khīñchnā dekh kar tasvīr ko tasvīr phir khīñchī to kyā
8
खींच ले अव्वल ही से दिल की इनान-ए-इख़्तियार तू ने गर ऐ आशिक़-ए-दिल-गीर फिर खींची तो क्या
khīñch le avval hī se dil kī inān-e-iḳhtiyār tū ne gar ai āshiq-e-dil-gīr phir khīñchī to kyā
9
क्या हुआ आगे उठाए गर 'ज़फ़र' अहसान-ए-अक़्ल और अगर अब मिन्नत-ए-तदबीर फिर खींची तो क्या
kyā huā aage uThā.e gar 'zafar' ehsān-e-aql aur agar ab minnat-e-tadbīr phir khīñchī to kyā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.