Ghazal
क्या बराबर का मोहब्बत में असर होता है
This ghazal poignantly captures the pain of unrequited love and emotional helplessness. The poet reflects on the asymmetry of affection, questioning whether love ever holds an equal effect while lamenting the apparent futility of prayers in the face of the beloved's indifference.
Source: rekhta · HI
Listen
1
क्या बराबर का मोहब्बत में असर होता है
दिल इधर होता है ज़ालिम न उधर होता है
kyā barābar kā mohabbat meñ asar hotā hai
dil idhar hotā hai zālim na udhar hotā hai
2
हम ने क्या कुछ न किया दीदा-ए-दिल की ख़ातिर
लोग कहते हैं दुआओं में असर होता है
ham ne kyā kuchh na kiyā dīda-e-dil kī ḳhātir
log kahte haiñ duāoñ meñ asar hotā hai
3
दिल तो यूँ दिल से मिलाया कि न रक्खा मेरा
अब नज़र के लिए क्या हुक्म-ए-नज़र होता है
dil to yuuñ dil se milāyā ki na rakkhā merā
ab nazar ke liye kyā hukm-e-nazar hotā hai
4
मैं गुनहगार-ए-जुनूँ मैं ने ये माना लेकिन
कुछ उधर से भी तक़ाज़ा-ए-नज़र होता है
maiñ gunahgār-e-junūñ maiñ ne ye maanā lekin
kuchh udhar se bhī taqāzā-e-nazar hotā hai
5
कौन देखे उसे बेताब-ए-मोहब्बत ऐ दिल
तू वो नाले ही न कर जिन में असर होता है
kaun dekhe use betāb-e-mohabbat ai dil
tū vo naale hī na kar jin meñ asar hotā hai
Comments · 0
Free — just your email. You'll come right back here.
No comments yet. Be the first.
