Ghazal

शमशीर-ए-बरहना माँग ग़ज़ब बालों की महक फिर वैसी ही

Bahadur Shah Zafar· Ghazal· 9 shers· radif: फिर वैसी ही

This ghazal paints an evocative portrait of the beloved's mesmerizing beauty, vividly detailing the captivating fragrance of their hair and their striking, enchanting features. Through rich traditional imagery of adoration, it conveys the poet's intense fascination and awe in the presence of the beloved's charms.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
शमशीर-ए-बरहना माँग ग़ज़ब बालों की महक फिर वैसी ही जूड़े की गुंधावट क़हर-ए-ख़ुदा बालों की महक फिर वैसी ही
shamshīr-e-barhana maañg ġhazab bāloñ kī mahak phir vaisī hī juuḌe kī guñdhāvaT qahr-e-ḳhudā bāloñ kī mahak phir vaisī hī
2
आँखें हैं कटोरा सी वो सितम गर्दन है सुराही-दार ग़ज़ब और उसी में शराब-ए-सुर्ख़ी-ए-पाँ रखती है झलक फिर वैसी ही
āñkheñ haiñ kaTorā sī vo sitam gardan hai surāhī-dār ġhazab aur usī meñ sharāb-e-surḳhi-e-pāñ rakhtī hai jhalak phir vaisī hī
3
हर बात में उस की गर्मी है हर नाज़ में उस के शोख़ी है क़ामत है क़यामत चाल परी चलने में फड़क फिर वैसी ही
har baat meñ us kī garmī hai har naaz meñ us ke shoḳhī hai qāmat hai qayāmat chaal parī chalne meñ phaḌak phir vaisī hī
4
गर रंग भबूका आतिश है और बीनी शोला-ए-सरकश है तो बिजली सी कौंदे है परी आरिज़ की चमक फिर वैसी ही
gar rañg bhabūkā ātish hai aur biinī shola-e-sarkash hai to bijlī sī kauñde hai parī aariz kī chamak phir vaisī hī
5
नौ-ख़ेज़ कुचें दो ग़ुंचा हैं है नर्म शिकम इक ख़िर्मन-ए-गुल बारीक कमर जो शाख़-ए-गुल रखती है लचक फिर वैसी ही
nau-ḳhez kucheñ do ġhuncha haiñ hai narm shikam ik ḳhirman-e-gul bārīk kamar jo shāḳh-e-gul rakhtī hai lachak phir vaisī hī
6
है नाफ़ कोई गिर्दाब-ए-बला और गोल सुरीं रानें हैं सफ़ा है साक़ बिलोरीं शम-ए-ज़िया पाँव की कफ़क फिर वैसी ही
hai naaf koī girdāb-e-balā aur gol surīñ rāneñ haiñ safā hai saaq bilorīñ sham-e-ziyā paañv kī kafak phir vaisī hī
7
महरम है हबाब-ए-आब-ए-रवाँ सूरज की किरन है उस पे लिपट जाली की कुर्ती है वो बला गोटे की धनक फिर वैसी ही
mahram hai habāb-e-āb-e-ravāñ sūraj kī kiran hai us pe lipaT jaalī kī kurtī hai vo balā goTe kī dhanak phir vaisī hī
8
वो गाए तो आफ़त लाए है हर ताल में लेवे जान निकाल नाच उस का उठाए सौ फ़ित्ने घुँगरू की झनक फिर वैसी ही
vo gaa.e to aafat laa.e hai har taal meñ leve jaan nikāl naach us kā uThā.e sau fitne ghuñgrū kī jhanak phir vaisī hī
9
हर बात पे हम से वो जो 'ज़फ़र' करता है लगावट मुद्दत से और उस की चाहत रखते हैं हम आज तलक फिर वैसी ही
har baat pe ham se vo jo 'zafar' kartā hai lagāvaT muddat se aur us kī chāhat rakhte haiñ ham aaj talak phir vaisī hī
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.