Ghazal

कुछ इस अदा से आज वो पहलू-नशीं रहे

Jigar Moradabadi· Ghazal· 17 shers· radif: रहे

This ghazal captures the overwhelming ecstasy of the beloved's enchanting presence, which induces a state of complete self-forgetfulness in the lover. In this transcendent realm of romantic absorption, worldly attachments and religious distinctions fade away, leaving only the pure, solitary essence of love.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
कुछ इस अदा से आज वो पहलू-नशीं रहे जब तक हमारे पास रहे हम नहीं रहे
kuchh is adā se aaj vo pahlū-nashīñ rahe jab tak hamāre paas rahe ham nahīñ rahe
2
ईमान-ओ-कुफ़्र और न दुनिया-ओ-दीं रहे ऐ इश्क़-ए-शाद-बाश कि तन्हा हमीं रहे
īmān-o-kufr aur na duniyā-o-dīñ rahe ai ishq-e-shād-bāsh ki tanhā hamīñ rahe
3
आलम जब एक हाल पे क़ाएम नहीं रहे क्या ख़ाक ए'तिबार-ए-निगाह-ए-यक़ीं रहे
aalam jab ek haal pe qaa.em nahīñ rahe kyā ḳhaak e'tibār-e-nigāh-e-yaqīn rahe
4
मेरी ज़बाँ पे शिकवा-ए-दर्द-आफ़रीं रहे शायद मिरे हवास ठिकाने नहीं रहे
merī zabāñ pe shikva-e-dard-āfrīñ rahe shāyad mire havās Thikāne nahīñ rahe
5
जब तक इलाही जिस्म में जान-ए-हज़ीं रहे नज़रें मिरी जवान रहें दिल हसीं रहे
jab tak ilāhī jism meñ jān-e-hazīñ rahe nazreñ mirī javān raheñ dil hasīñ rahe
6
या-रब किसी के राज़-ए-मोहब्बत की ख़ैर हो दस्त-ए-जुनूँ रहे न रहे आस्तीं रहे
yā-rab kisī ke rāz-e-mohabbat kī ḳhair ho dast-e-junūñ rahe na rahe āstīñ rahe
7
ता-चंद जोश-ए-इश्क़ में दिल की हिफ़ाज़तें मेरी बला से अब वो जुनूनी कहीं रहे
tā-chand josh-e-ishq meñ dil kī hifāzateñ merī balā se ab vo junūnī kahīñ rahe
8
जा और कोई ज़ब्त की दुनिया तलाश कर ऐ इश्क़ हम तो अब तिरे क़ाबिल नहीं रहे
jā aur koī zabt kī duniyā talāsh kar ai ishq ham to ab tire qābil nahīñ rahe
9
मुझ को नहीं क़ुबूल दो-आलम की वुसअतें क़िस्मत में कू-ए-यार की दो-गज़ ज़मीं रहे
mujh ko nahīñ qubūl do-ālam kī vus.ateñ qismat meñ kū-e-yār kī do-gaz zamīñ rahe
10
ऐ इश्क़-ए-नाला-कश तिरी ग़ैरत को क्या हुआ है है अरक़ अरक़ वो तन-ए-नाज़नीं रहे
ai ishq-e-nālā-kash tirī ġhairat ko kyā huā hai hai araq araq vo tan-e-nāznīñ rahe
11
दर्द-ओ-ग़म-ए-फ़िराक के ये सख़्त मरहले हैराँ हूँ मैं कि फिर भी तुम इतने हसीं रहे
dard-o-ġham-e-firāq ke ye saḳht marhale hairāñ huuñ maiñ ki phir bhī tum itne hasīñ rahe
12
अल्लाह-रे चश्म-ए-यार की मोजिज़-बयानियाँ हर इक को है गुमाँ कि मुख़ातिब हमीं रहे
allāh-re chashm-e-yār kī mojiz-bayāniyāñ har ik ko hai gumāñ ki muḳhātib hamīñ rahe
13
ज़ालिम उठा तू पर्दा-ए-वहम-ओ-गुमान-ओ-फ़िक्र क्या सामने वो मरहला-हाए-यक़ीं रहे
zālim uThā tū parda-e-vahm-o-gumān-o-fikr kyā sāmne vo marhala-hā-e-yaqīñ rahe
14
ज़ात-ओ-सिफ़ात-ए-हुस्न का आलम नज़र में है महदूद-ए-सज्दा क्या मिरा ज़ौक़-ए-जबीं रहे
zāt-o-sifāt-e-husn kā aalam nazar meñ hai mahdūd-e-sajda kyā mirā zauq-e-jabīñ rahe
15
किस दर्द से किसी ने कहा आज बज़्म में अच्छा ये है वो नंग-ए-मोहब्बत यहीं रहे
kis dard se kisī ne kahā aaj bazm meñ achchhā ye hai vo nañg-e-mohabbat yahīñ rahe
16
सर-दादगान-ए-इश्क़-ओ-मोहब्बत की क्या कमी क़ातिल की तेग़ तेज़ ख़ुदा की ज़मीं रहे
sar-dādgān-e-ishq-o-mohabbat kī kyā kamī qātil kī teġh tez ḳhudā kī zamīñ rahe
17
इस इश्क़ की तलाफ़ी-ए-माफ़ात देखना रोने की हसरतें हैं जब आँसू नहीं रहे
is ishq kī talāfi-e-māfāt dekhnā rone kī hasrateñ haiñ jab aañsū nahīñ rahe
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.