Ghazal

नहीं इश्क़ में इस का तो रंज हमें कि क़रार ओ शकेब ज़रा न रहा

Bahadur Shah Zafar· Ghazal· 11 shers· radif: न रहा

This ghazal explores the transcendent nature of love, where the lover willingly accepts the loss of peace and embraces sorrow as a faithful companion. By surrendering the ego, the veil separating the lover from the divine beloved dissolves, revealing a state of profound unity where nothing remains except the beloved.

Source: rekhta · HI

Listen
Reading Script
1
नहीं इश्क़ में इस का तो रंज हमें कि क़रार ओ शकेब ज़रा न रहा ग़म-ए-इश्क़ तो अपना रफ़ीक़ रहा कोई और बला से रहा न रहा
nahīñ ishq meñ is kā to ranj hameñ ki qarār o shakeb zarā na rahā ġham-e-ishq to apnā rafīq rahā koī aur balā se rahā na rahā
2
दिया अपनी ख़ुदी को जो हम ने उठा वो जो पर्दा सा बीच में था न रहा रहे पर्दे में अब न वो पर्दा-नशीं कोई दूसरा उस के सिवा न रहा
diyā apnī ḳhudī ko jo ham ne uThā vo jo parda sā biich meñ thā na rahā rahe parde meñ ab na vo parda-nashīñ koī dūsrā us ke sivā na rahā
3
न थी हाल की जब हमें ख़बर रहे देखते औरों के ऐब ओ हुनर पड़ी अपनी बुराइयों पर जो नज़र तो निगाह में कोई बुरा न रहा
na thī haal kī jab hameñ ḳhabar rahe dekhte auroñ ke aib o hunar paḌī apnī burā.iyoñ par jo nazar to nigāh meñ koī burā na rahā
4
तिरे रुख़ के ख़याल में कौन से दिन उठे मुझ पे न फ़ित्ना-ए-रोज़-ए-जज़ा तिरी ज़ुल्फ़ के ध्यान में कौन सी शब मिरे सर पे हुजूम-ए-बला न रहा
tire ruḳh ke ḳhayāl meñ kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jazā tirī zulf ke dhyān meñ kaun sī shab mire sar pe hujūm-e-balā na rahā
5
हमें साग़र-ए-बादा के देने में अब करे देर जो साक़ी तो हाए ग़ज़ब कि ये अहद-ए-नशात ये दौर-ए-तरब न रहेगा जहाँ में सदा न रहा
hameñ sāġhar-e-bāda ke dene meñ ab kare der jo saaqī to haa.e ġhazab ki ye ahd-e-nashāt ye daur-e-tarab na rahegā jahāñ meñ sadā na rahā
6
कई रोज़ में आज वो मेहर-लिक़ा हुआ मेरे जो सामने जल्वा-नुमा मुझे सब्र ओ क़रार ज़रा न रहा उसे पास-ए-हिजाब-ओ-हया न रहा
ka.ī roz meñ aaj vo mehr-liqā huā mere jo sāmne jalva-numā mujhe sabr o qarār zarā na rahā use pās-e-hijāb-o-hayā na rahā
7
तिरे ख़ंजर ओ तेग़ की आब-ए-रवाँ हुई जब कि सबील-ए-सितम-ज़दगाँ गए कितने ही क़ाफ़िले ख़ुश्क-ज़बाँ कोई तिश्ना-ए-आब-ए-बक़ा न रहा
tire ḳhanjar o teġh kī āb-e-ravāñ huī jab ki sabīl-e-sitam-zadgāñ ga.e kitne hī qāfile ḳhushk-zabāñ koī tishna-e-āb-e-baqā na rahā
8
मुझे साफ़ बताए निगार अगर तो ये पूछूँ मैं रो रो के ख़ून-ए-जिगर मले पाँव से किस के हैं दीदा-ए-तर कफ़-ए-पा पे जो रंग-ए-हिना न रहा
mujhe saaf batā.e nigār agar to ye pūchhūñ maiñ ro ro ke ḳhūn-e-jigar male paañv se kis ke haiñ dīda-e-tar kaf-e-pā pe jo rañg-e-hinā na rahā
9
उसे चाहा था मैं ने कि रोक रखूँ मिरी जान भी जाए तो जाने न दूँ किए लाख फ़रेब करोड़ फ़ुसूँ न रहा न रहा न रहा न रहा
use chāhā thā maiñ ne ki rok rakhūñ mirī jaan bhī jaa.e to jaane na duuñ kiye laakh fareb karoḌ fusūñ na rahā na rahā na rahā na rahā
10
लगे यूँ तो हज़ारों ही तीर-ए-सितम कि तड़पते रहे पड़े ख़ाक पे हम वले नाज़ ओ करिश्मा की तेग़-ए-दो-दम लगी ऐसी कि तस्मा लगा न रहा
lage yuuñ to hazāroñ hī tīr-e-sitam ki taḌapte rahe paḌe ḳhaak pe ham vale naaz o karishma kī teġh-e-do-dam lagī aisī ki tasma lagā na rahā
11
'ज़फ़र' आदमी उस को न जानिएगा वो हो कैसा ही साहब-ए-फ़हम-ओ-ज़का जिसे ऐश में याद-ए-ख़ुदा न रही जिसे तैश में ख़ौफ़-ए-ख़ुदा न रहा
'zafar' aadmī us ko na jāniyegā vo ho kaisā hī sāhab-e-fahm-o-zakā jise aish meñ yād-e-ḳhudā na rahī jise taish meñ ḳhauf-e-ḳhudā na rahā
Comments · 0

Free — just your email. You'll come right back here.

No comments yet. Be the first.